Home › Groups › Islamic Group Hindi
Islamic Group Hindi Telegram
Telegram Channel Link

Islamic Group Hindi Telegram Channel Link

★★★★★ 0.0 (0 ratings)
👁 1 views ↗ 0 joins
🇦🇪 United_Arab_Emirates 🌐 Arabic # Spiritual & Devotional
About this telegram channel link
Daily Islamic Quotes & Hadees ❤️ #islamic_quotes #islalmicquotes7s
Telegram Channel

Latest public posts from this Telegram channel.

165 subscribers
13 Oct 2026 latest post
Click to fetch the latest posts directly from Telegram.
🌿 Miswak – Ek Chhoti Sunnat, Be-Shumar BarkateinRasulullah ﷺ ne farmaya:"As-Siwaku mathharatun lil-fam, mardaatun lir-Rabb.""Miswak munh ko paak karti hai aur Allah Ta'ala ki raza ka zariya hai."📖 (Sunan An-Nasa'i: 5 – Sahih)Aur Rasulullah ﷺ ne farmaya:"Agar meri ummat par mushakkat na hoti to main unhein har wuzu (aur riwayat mein har namaz) ke sath Miswak ka hukm deta."📖 (Sahih al-Bukhari: 887, Sahih Muslim: 252)🌱 Miswak ke Dunyawi aur Deeni Faiday:✅ Allah Ta'ala ki raza hasil hoti hai.✅ Sunnat-e-Rasul ﷺ par amal ka sawab milta hai.✅ Munh aur daanton ki behtareen safai hoti hai.✅ Badbu door hoti hai aur saans taaza rehti hai.✅ Masooday mazboot hote hain aur khoon aana kam hota hai.✅ Daanton par jamne wali mail (plaque) ko kam karne mein madad karti hai.✅ Peelu (Salvadora persica) ki Miswak scientific research ke mutabiq natural antibacterial ajza rakhti hai jo plaque kam karne, daanton ko saaf rakhne aur unki natural safedi ko barqarar rakhne mein madadgar hai.✅ Neem ki Miswak bhi antibacterial aur anti-inflammatory khususiyaat rakhti hai, jo masoodon aur munh ki sehat ke liye mufeed mani jati hai.✅ Rozana Miswak ka istemal oral hygiene ko behtar banata hai aur chemical products par ehtiyaaj ko kam kar sakta hai.🌿 Aaj Hi Sunnat Ko Apni Zindagi Mein Shamil KareinAaj kal market mein bohot achhi quality ki Miswak aasani se mil jati hai. Hum rozmarrah ki bohot si cheezon par paise kharch kar dete hain. Agar unhi mein se thoda sa hissa Sunnat-e-Miswak par bhi laga dein, to ye sirf duniya ki sehat hi nahi, balki aakhirat ke ajr ka bhi zariya ban sakta hai.🌱 Miswak Habit Challenge▫️ Agar abhi aadat nahi hai to pehle roz sirf 1 wuzu se pehle Miswak karein.▫️ Phir dheere dheere 2 wuzu, 3 wuzu, aur aakhir mein har wuzu se pehle Miswak ki aadat bana lein.▫️ Agar roz mumkin na ho to kam az kam hafte mein 2–3 martaba zaroor istemal karein.▫️ Chhoti chhoti aadatein hi badi Sunnaton ko zinda karti hain.Allah humein Sunnat-e-Miswak ko apni rozmarrah zindagi ka hissa banane ki taufeeq ata farmaaye. Aameen.
🪴Allah Ta'ala ne ba-tor-e-rahmat apne bandon ke liye masaib, balayein aur aazmaishen rakhi hain. In ke zariye woh un ki khataein maaf farmata hai. Is liye agarche logon ke dil inhen napasand karte hain, lekin haqeeqat mein yeh bhi un par Allah Ta'ala ki azeem ne'maton mein se ek ne'mat hain.
🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂Muhammad Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:Quran ki tees (30) aayaton ki ek surah ne ek aadmi ki shifa'at (sifarish) ki to ose bakhsh diya gaya, yeh surah "Tabarakallazi biyadihil mulk" (Bohot ba barkat hai woh Allah jiske haath mein kul kayenaaat ki baadshahi hai, aur woh har cheez par qudrat rakhta hai) hai.[ Jami` at-Tirmidhi: 2891 ]
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya : Mai zimmedar hoon jannat ke beech me ek ghar ka us shakhs ke liye jo jhooth bolna chhod de agarche wo hasi mazaak (Jokes) me hi ho.📚 Sunan Abu Dawood : 4800
• Allah se milne ki tayyari ke liye kya karen?📌 Hum sabka maqsad hai Allah Ta'ala ki raza hasil karna aur Allah paak se milne ki behtareen tayari karna. Iske liye humein apni zindagi mein khoob neik amal karne honge aur gunahon se bachna hoga-Neik Amal jo karne chahiye:🌟 Namaz: Punctual aur khushu ke saath adaa karein.📖 Quran: Samajh kar parhein, us par amal karein aur doosron tak paunchayein.🗣️ zikr: Har waqt Allah ka zikr aur shukr karein.🤝 Madad: Logo ki madad karein aur unke dukh door karne ki koshish karein.🫀 Nabi ﷺ se mohabbat: Sunnat par amal karein aur Nabi ﷺ ka izhaar-e-mohabbat karein.⚖️ Insaaf aur khidmat: Insaf se kaam lein aur logo ki khidmat karein.🍲 Khana aur paani ka intezam: Bhooke ko khilana aur pyase ko pilana sadaqah hai.📜 Achi baat aur ilm share karein: Hadith aur Quran ki ayat logon ke saath share karein.💰Sadqa aur charity: Zaruratmandon ki madad karein, chhoti se chhoti cheez ka sadqa bhi qeemati hai.🕌 Deeni majlis aur talim: Deeni ilm hasil karein aur majlis mein shirkat karein.💬 Pyar aur mohabbat se baat karein: Narmi aur muhabbat se logon ke dil jeetne ki koshish karein.🩸 Blood aur saman donate karein: Blood, kapde, khana, aur zarurat ka saman donate karein.💊 Bimar se milna aur janaza mein shirkat: Bimar ka haal puchhein aur janaza mein shirkat karein.🏡 Safai aur haya: Apne ghar aur khud ko saaf rakhne ke saath haya aur parda karein.🙏 Shukr aur Quran ka sadqa: Allah ka shukr ada karein aur Quran donate karein.🕌 Masjid: Masjid ki marammat ya kaam mein hisa dalein.👁️ Aankhon ki hifazat: Aankhon ko haram cheezon se bachayein.💬 Sachai aur neik logon se rishta: Hamesha sach bolein aur logo ko neik cheezon se jodein.
🫀 Hum Allah ki Muhabbat kaise hasil karein?🌸 Farz ibadaton ki pabandi karna.🌸 Nawafil aur zikr ki kasrat karna.🌸 Qur’an ki tilawat tadabbur (ghaur o fikr) ke saath karna.🌸 Taubah aur istighfar karna.🌸 Logon ke saath ihsan karna aur sabr karna.Allah Ta‘ala farmata hai: Beshak Allah muttaqiyon (parhezgaron) se muhabbat karta hai.(Al-Qur’an)Ae Allah! Humein apni muhabbat ata farma aur un logon ki muhabbat bhi ata farma jo Tujh se muhabbat karte hai
🫀 Allah ﷻ ne farmaya : Ramazan woh mahina hai jisme Qur'an nazil kiya gaya, jo logon ke liye hidayat hai, aur hidayat aur haq-o-batil ke darmiyan farq karne wali wazeh daleelein rakhta hai.Qur'an – Surah Al-Baqarah (2:185)
10-10-2026Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai. [Sho'bul Imaan : 8786]➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍂🌿🍂🌿 ﷽ 🌿🍂🌿🍂🔅 🔆 Aaj Ki Pyari Hadees ! 🔆 🔅Ummol Momineen Hazrat Aayesha raziyallahu anha bayan karti hain, Sahaba ne Rasoolullah ﷺ se qaht saali ki shikayat ki to Aap ﷺ ne mimbar ka hukm farmaya to use Aap ke liye Eid gaah mein rakh diya gaya, Aap ﷺ ne Sahaba se ek din ka waada kiya ke woh us mein bahar aayein, Ammi Aayesha R.A bayan karti hain Rasoolullah ﷺ uss rooz (namaz e istisqa ke liye) us waqt nikle jab sooraj ki tikkiya nikal aayi thi, Aap ﷺ mimbar par baithe aur Allah Azzawajal ki takbeer wa tahmeed ki, phir farmaya: “Tum ne apne ilaqon ki qaht saali aur barwaqt baarishon ke na hone ki shikayat ki hai, Allah ne tumhein hukm diya hai ke tum us se dua karo aur us ne dua ki qabooliyat ka tum se waada kar rakha hai.” Phir Aap ﷺ ne yun dua kiAlhamdu lillaahi Rabbil Aalameen, Ar-Rahmaanir-Raheem, Maliki Yawmid-Deen, Laa ilaaha illallaahu yaf'alu maa yureed. Allaahumma Antallaahu laa ilaaha illaa Antal-Ghaniyyu wa nahnul-fuqaraa'u. Anzil 'alainal-ghaisa waj'al maa anzalta lanaa quwwatan wa balaaghan ilaa heen.“Har qism ki tareef Allah ke liye hai jo tamaam jahanon ka Rabb hai, jo bohat meherban nihayat raham wala, roz-e-jaza ka maalik hai, Allah ke siwa koi Ilah nahi, woh jo chahta hai kar guzarta hai, aye Allah! Tu Allah hai, tere siwa koi Ilah nahi, tu Ghani hai aur hum fuqara, hum par baarish barsa, aur jo tu (baarish) naazil farmaaye use hamare liye ek muddat tak quwwat aur (maqasid tak) pahunchne ka zariya bana.”Phir Aap ﷺ ne haath buland kiye aur unhein buland karte rahe hatta ke Aap ki baghalon ki safedi nazar aane lagi, phir Aap ne logon ki taraf apni peeth kar di aur apni chadar palti (yaane qibla rukh hogaye), aur Aap ﷺ ne abhi tak haath uthaye rakhe, phir logon ki taraf mutawajjeh howe, aur neeche utar kar do rakatein padheen, pas Allah ne baadal ki ek tukdi bheji, garaj chamak paida hui to phir Allah ke hukm se baarish hone lagi, Aap abhi apni masjid tak tashreef nahi laaye the ke naale behne lage, jab Aap ﷺ ne unhein (logon ko) apni jhonpadiyon ki taraf daurte hue dekha to Aap ﷺ hansne lage hatta ke Aap ki daardhein nazar aane lageen, Aap ﷺ ne farmaya: Main gawahi deta hoon ke Allah har cheez par Qaadir hai aur beshak main Allah ka banda aur us ka Rasool hoon.[ Mishkat al-Masabih: 1508 ]
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:Allah Azowajal Ne Farmaya:“Main Apne Bande K Gumaan K Mutabiq Muamla Karta Hu.” Sahih Muslim : 2675,
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Ek Aadmi Bahtareen Libas Zeb Tan Karke Naaz Wo Takabbur Ki Chaal Chalta Hua Ja Raha Tha, Usey Apne Aap Per Bada Fakhar Wo Naaz Mahsoos Ho Raha Tha K Achanak Allah {تعالیٰ} Ne Usey Zameen Me Dhansa Diya, Ab Wo Qayamat Tak Zameen Me Dhansta Hi Rahega.”Sahih Muslim : 2088
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Roz e Qayamat Allah {تعالیٰ} K Nazdeek Sabse Mabghooz Aur Khabees Shaqs Wo Hoga Jo Malak Ul Amlaak (Shahinshah) Naam Rakhta Hai, Baadahahou Ka Baadshah Sirf Allah Hai.” Sahih Muslim : 2143
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Qarz Ki Adayigi Me Maaldaar Aadmi Ka Taal Matol Karna Zulm Hai, Jab Tum Me Se Kisi Ko Kisi Maaldaar K Hawale Kardiya Jaaye To Usey Usi Ka Picha Karna Chahiye.” Sahih Bukhari : 2400
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Ameeri Kasrat e Maal Ki Wajah Se Nahi Hoti Balke Asal Ameeri To Dil Ki Hoti Hai.”Sahih Muslim : 1051
*09-10-2026*Tum rishtedaar ko us ka haq do aur miskeen aur musaafir ko bhi. Jo log Allah ki khushnoodi chaahte hain, un ke liye yeh behtar hai aur wohi log kaamyaab hone waale hain. [Sura-e-Room : 38]➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya - Allah ki magfirat aur rehmat bahot badi hai, Agar koi shakhs gunaaho ke dher laga le phir sache dil se tauba kare to Allahus ki tauba qubool farmata hai.( Sunan Ibne Maajah 4248)
Allaah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya - Allah/se madad maango aur maayus na ho, agar tumhe koi nuqsan pahoche to ye na kaho kaash... mai aisa karta to aisa hota.(Sahih Muslim 6774-Int 2664)
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Har Bachcha Fitrat Per Paida Hota Hai, Baad Me Uske Walidain Usey Yahudi Ya Isayi Bana Dete Hai, Iski Misaal Aise Hi Hai, Jaise Ek Janwar K Yaha Janwar Paida Hota Hai, Kya Tum Usme Koi Naak Kata Mahsoos Karte Ho, Siwaye Iske K Tum Khud Hi Uski Naak Kaat Do, Logou Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah {ﷺ}! Wo Bachche Jo Bachpan Me Hi Mar Jaate Hai, Unka Kya Hukm Hai? Aap {ﷺ} Ne Farmaya: Allah {تعالیٰ} Zyada Bahtar Jaante Hai K Wo Bade Hokar Kya Amal Karte.” Sahih Bukhari : 6599,
Rasool Allah {ﷺ} Ne Irshad Farmaya:“Jism Insani Me Ek Haddi Aisi Hai Jisey Zameen Kabhi Nahi Khaati, Ussey Insaan Ko Qayamat K Din Jodkar Khada Kardiya Jayega.”Logou Ne Pucha: Wo Kounsi Haddi Hai?Aap {ﷺ} Ne Farmaya:“Reedh Ki Haddi.”Abul Hasan {رحمه الله} Kahte Hai: Ajam “Meem” K Saath Hai.” Sahih Bukhari : 4814,
Rasool Allah {ﷺ} Ne Do Martaba Irshad Farmaya:“Wisaal Se Bacho, Wisaal Se Bacho! Is Baare Me Sahaba Ikraam {رضي الله عنهم} Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah {ﷺ}! Aap To Isi Tarha Tasalsul K Saath Rozey Rakhte Hai? Aap {ﷺ} Ne Farmaya: Is Muamle Me Main Tumhari Tarha Nahi Hu, Main To Is Haal Me Raat Guzarta Hu K Mera Rab Khud Hi Mujhe Khila Pila Deta Hai, Isliye Tum Apne Upar Amal Ka Utna Bojh Daalo Jisey Bardasht Karne Ki Tum Me Taqat Moujood Ho.”Sahih Bukhari : 1966*Wazahat:-* Sirf Iftari Karna Aur Tasalsul Ke Saath Sahri Na Karna, Wisaal Ka Roza Kahlata Hai.
Telegram Channel Link information
Country 🇦🇪 United_Arab_Emirates
Language Arabic
Type Telegram Channel Link
Subscribers 165
Rate this group

How would you rate this community?

0.0 ★ Join Group →